Aql DauDai Bahut Kuchh To Guman Tak Pahunche
aql dauDai bahut kuchh to guman tak pahunche
kuchh haqiqat bhi hai insan ki kahan tak pahunche
ishq ke shoale bhaDak kar rag-e-jaan tak pahunche
aag si aag hai ye aag jahan tak pahunche
laD gai un se nazar khich gae abru un ke
marke ishq ke ab tir-o-kaman tak pahunche
dil se bahar ho tera raaz gawara hai kise
ye koi baat nahin hai ki zaban tak pahunche
mar le wo nigah-e-naz to rutba ho buland
sar ho uncha mera gar nok-e-sinan tak pahunche
koi diwangi-e-ishq ka qissa chheDe
silsila us ka KHuda jaane kahan tak pahunche
surKHi-e-KHar-e-bayaban ye pata deti hai
ki udhar se tere diwane yahan tak pahunche
rind pur-kaif ba-yak-gardish-e-chashm-e-saqi
ghayat-e-daera-e-kaun-o-makan tak pahunche
ruKH se parde ko haTa husn-e-yaqin tak pahuncha
aaKHir insan hun yun aql kahan tak pahunche
rah mein aur bhi diwanon se milte julte
puchhte puchhte hum un ke makan tak pahunche
sharbat-e-did na ho tegh ka pani hi sahi
koi ThanDak to mere qalb-e-tapan tak pahunche
le gae ishq ki bazi pa safai 'betab'
jaan par khel gae jaan-e-jahan tak pahunche
(739) Peoples Rate This