Wo Sun Kar Hur Ki Tarif Parde Se Nikal Aae
wo sun kar hur ki tarif parde se nikal aae
kaha phir muskura kar husn-e-zeba is ko kahte hain
ajal ka nam dushman dusre mani mein leta hai
tumhaare chahne wale tamanna is ko kahte hain
mere madfan pe kyun rote ho aashiq mar nahin sakta
ye mar jaana nahin hai sabr aana is ko kahte hain
namak bhar kar mere zaKHmon mein tum kya muskuraate ho
mere zaKHmon ko dekho muskurana is ko kahte hain
zamane se adawat ka sabab thi dosti jin ki
ab un ko dushmani hai hum se duniya is ko kahte hain
dikhate hum na aaina to ye kyun kar nazar aata
bashar huron se achchha tum ne dekha is ko kahte hain
(1058) Peoples Rate This