Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a7d60f71c15b6b5537413a7313972293, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shauq Apna Aap Main Apni Zaban Se Kyun Kahun - Bekhud Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Shauq Apna Aap Main Apni Zaban Se Kyun Kahun

shauq apna aap main apni zaban se kyun kahun

dil jo kuchh kahta hai wo us bad-guman se kyun kahun

tum samajh lo soch lo tum taD lo pahchan lo

baat apne dil ki main apni zaban se kyun kahun

kan mein sun lo idhar aa kar meri ek baat tum

tum se kuchh kahta hun main sare jahan se kyun kahun

dastan awwal se suniye meri sunni hai agar

aap kahte hain jahan se main wahan se kyun kahun

kan mein chupke se 'beKHud' jo kaha hai yar ne

rashk aata hai mujhe wo raaz-dan se kyun kahun

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shauq Apna Aap Main Apni Zaban Se Kyun Kahun In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Shauq Apna Aap Main Apni Zaban Se Kyun Kahun is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Shauq Apna Aap Main Apni Zaban Se Kyun Kahun for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Shauq Apna Aap Main Apni Zaban Se Kyun Kahun in PDF.