Raat Bhar Gardish Thi Un Ke Pasbanon Ki Tarah
raat bhar gardish thi un ke pasbanon ki tarah
panw mein chakkar tha mere aasmanon ki tarah
dil mein hain lekin unhen dil se gharaz-matlab nahin
apne ghar mein rahte hain wo mehmanon ki tarah
dil ke dene ka kahin charcha na karna dekhna
le ke dil samjha rahe hain mehrbanon ki tarah
nam par marne ke marte hain magar marte nahin
kaun ji sakta hai hum se saKHt-jaanon ki tarah
dil jo kuchh kahta hai karte hain wahi 'beKHud' magar
sun liya karte hain sab ki be-zabanon ki tarah
(822) Peoples Rate This