Qayamat Hai Jo Aise Par Dil-e-ummid-war Aae
qayamat hai jo aise par dil-e-ummid-war aae
jise wade se nafrat ho jise milne se aar aae
meri be-tabiyan chha jaen ya-rab un ki tamkin par
taDapta dekh lun aankhon se jab mujh ko qarar aae
miTa dun apni hasti KHak kar dun apne-ape ko
meri baaton se gar dushman ke bhi dil mein ghubar aae
ijazat mangti hai duKHt-e-raz mahfil mein aane ki
maza ho shaiKH-sahib kah uThen be-iKHtiyar aae
KHuda jaane ki wo 'beKHud' se itne bad-guman kyun hain
ki har jalse mein farmate hain dekho hoshiyar aae
(799) Peoples Rate This