Na Kyun-kar Nazr Dil Hota Na Kyun-kar Dam Mera Jata
na kyun-kar nazr dil hota na kyun-kar dam mera jata
akela bhejta us ko wo KHali hath kya jata
janaze par bhi wo aate to munh ko Dhank kar aate
hamari jaan le kar bhi na andaz-e-haya jata
tumhaari yaad mera dil ye donon chalte purze hain
jo in mein se koi miTta mujhe pahle miTa jata
teri chitwan ke bal ko hum ne qatil tak rakha tha
kidhar maqtal mein bach kar hum se ye tir-e-qaza jata
maza jab tha qayamat tak na aata hosh 'beKHud' ko
pilai thi jo mai saqi ne itni to pila jata
(749) Peoples Rate This