Na Arman Ban Ke Aate Hain Na Hasrat Ban Ke Aate Hain
na arman ban ke aate hain na hasrat ban ke aate hain
shab-e-wada wo dil mein dard-e-furqat ban ke aate hain
pareshan zulf munh utra hua mahjub si aankhen
wo bazm-e-ghair se aashiq ki surat ban ke aate hain
bane hain shaiKH-sahib naql-e-majlis bazm-e-rindan mein
jahan tashrif le jate hain hazrat ban ke aate hain
na rakhna hum se kuchh matlab ye pahli shart hai un ki
wo jis ke pas aate hain amanat ban ke aate hain
sitam ki KHwahishen 'beKHud' ghazab ki aarzuen hain
jawani ke ye din shayad musibat ban ke aate hain
(990) Peoples Rate This