Mere Ham-rah Mere Ghar Pe Bhi Aafat Aai
mere ham-rah mere ghar pe bhi aafat aai
aasman TuT paDa barq giri chhat aai
sharm aai bhi jo us shoKH ki aankhon mein kabhi
shoKHiyan karti hui sath shararat aai
hijr mein jaan hai dubhar ye likha tha un ko
KHat mein likkhi hui marne ki ijazat aai
sochta jata hun raste mein ki ye dunga jawab
guftugu un se agar ghair ki babat aai
phir har ek sher mein kuchh dard ka pata hun asar
phir kahin hazrat-e-'beKHud' ki tabiat aai
(799) Peoples Rate This