Mashuq Hamein Baat Ka Pura Nahin Milta
mashuq hamein baat ka pura nahin milta
dil jis se milaen koi aisa nahin milta
duniya mein agar DhunDiye to kya nahin milta
sab milte hain ek chahne wala nahin milta
ushshaq se yun aankh tumhaari nahin milti
aghyar se dil jaise hamara nahin milta
rahti hai kasar ek na ek baat ki sab mein
hum ko to in achchhon mein bhi achchha nahin milta
kuchh haal sune kuchh hamein tadbir batae
gham-KHwar to kaisa koi itna nahin milta
kya muft mein tum dil ke KHaridar bane ho
be-KHarch kiye dam ye sauda nahin milta
jab dekhiye hamrah hai dushman ka tasawwur
hum se to wo KHalwat mein bhi tanha nahin milta
dil koi milata nahin TuTe hue dil se
duniya mein hamein joD hamara nahin milta
barbaad kiya yas ne yun KHana-e-dil ko
DhunDe se bhi ab dagh-e-tamanna nahin milta
jo baat hai duniya se nirali hai nai hai
andaz kisi mein bhi tumhaara nahin milta
aankhen kahe deti hain ki dil saf nahin hai
milta hai wo is rang se goya nahin milta
kahte hain jalane ko hum aghyar ke munh par
aison se to wo rashk-e-masiha nahin milta
zahir hai mulaqat hai baatin mein judai
tum milte ho dil hum se tumhaara nahin milta
afsos to ye hai ki tumhein qadr nahin hai
aashiq to zamane mein bhi DhunDa nahin milta
kahna wo shararat se tera dil ko chura kar
kya DhunDte ho hum se kaho kya nahin milta
'beKHud' nigah-e-lutf pe de Daliye dil ko
jo milta hai sarkar se thoDa nahin milta
(1050) Peoples Rate This