Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1d1cbcf1ecb94c0e6d4413b0769557f8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kab Tak Karenge Jabr Dil-e-na-subur Par - Bekhud Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Kab Tak Karenge Jabr Dil-e-na-subur Par

kab tak karenge jabr dil-e-na-subur par

musa to ja ke baiTh rahe koh-e-tur par

koi mujhe batae ki ab kya jawab dun

wo mujh se uzr karte hain mere qusur par

talib hain jo tere unhen jannat se kya gharaz

paDti nahin hai aankh shahidon ki hur par

jalwa dikhaiye hamein bas uzr ho chuka

jalne ke waste nahin aae hain tur par

zahid bhi is zamane ke aashiq mizaj hain

jite hain us ko dekh ke marte hain hur par

ghar kar gain na dil mein meri KHaksariyan

nazan the aap bhi bahut apne ghurur par

baKHshe gae na hum se jo do-chaar baada-KHwar

bhinkengi makkhiyan hain sharab-e-tuhur par

kuchh shoKHiyon ke rang bhi betabiyon mein hain

kis ki nazar paDi hai dil-e-na-subur par

zahid ki tarah hum ko bhi jannat ki hai talash

apna bhi aa gaya hai dil ek rashk-e-hur par

rakkhe kahin ye shauq-e-rihai mujhe na qaid

taDpa agar yahin to rahenge zarur par

'beKHud' na DhunD koi wasila najat ka

ye munhasir hai rahmat-e-rabb-e-ghafur par

(1161) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Tak Karenge Jabr Dil-e-na-subur Par In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Kab Tak Karenge Jabr Dil-e-na-subur Par is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Kab Tak Karenge Jabr Dil-e-na-subur Par for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Kab Tak Karenge Jabr Dil-e-na-subur Par in PDF.