JhuT Sach Aap To Ilzam Diye Jate Hain
jhuT sach aap to ilzam diye jate hain
baat sunte nahin dushnam diye jate hain
tirchhi nazron se kiye us ne bahut dil zaKHmi
tir TeDhe magar kaam diye jate hain
kah gaya ye bhi koi ruTh ke jaane wala
hum tujhe maut ka paigham diye jate hain
pasban jag uThen wo to unhen de dena
likh ke kaghaz pe ye ek nam diye jate hain
aap ke lutf-o-inayat ka yahi hai badla
gham liye jate hain aaram diye jate hain
dil hua jaan hui un ki bhala kya qimat
aisi chizon ke kahin dam diye jate hain
tir-e-qatil ko kaleje se laga rakkha hai
hum to dushman ko bhi aaram diye jate hain
kaam aa jaega dushman ki mohabbat mein kabhi
ehtiyatan dil-e-nakaam diye jate hain
ab to khul khele wo 'beKHud' se KHuda KHair kare
ab to KHud bhar ke use jam diye jate hain
(948) Peoples Rate This