Hazrat-e-dil Ye Ishq Hai Dard Se Kasmasae Kyun
hazrat-e-dil ye ishq hai dard se kasmasae kyun
maut abhi se aae kyun jaan abhi se jae kyun
ishq ka rutba hai baDa ishq KHuda se ja mila
aap ne kya samajh liya aap ye muskurae kyun
mera ghalat gila sahi zulm-o-jafa rawa sahi
naz-e-sitam baja sahi aankh koi churae kyun
tujh se ziyaada naznin is mein hazaron hain hasin
dil hai ye aaina nahin samne tere aae kyun
aashiq-e-na-murad ko is ki raza pe chhoD do
is ki agar KHushi na ho gham se najat pae kyun
hausla-e-sitam baDhe tegh-o-sinan ka dam baDhe
ek hi tir-e-naz mein kijiye hae hae kyun
'ghaalib'-e-KHush-bayan kahan 'beKHud'-e-KHasta-jaan kahan
taba ka imtihan kahan shad mujhe satae kyun
(1241) Peoples Rate This