Donon Hi Ki Jaanib Se Ho Gar Ahd-e-wafa Ho
donon hi ki jaanib se ho gar ahd-e-wafa ho
chahat ka maza jab hai ki tum bhi mujhe chaho
ye hum nahin kahte hain ki dushman ko na chaho
is chah ka anjam magar dekhiye kya ho
shamshir se baDh kar hain hasinon ki adaen
be-maut kiya qatl un achchhon ka bura ho
mashuq tarah-dar ho andaz ho achchha
dil aae na aise pe to phir dil ka bura ho
pura koi hota nazar aata nahin arman
un ko to ye zid hai ki hamara hi kaha ho
tum mujh ko pilate to ho mai sina pe chaDh kar
us waqt agar koi chala aae to kya ho
wada wo tumhaara hai ki lab tak nahin aata
matlab ye hamara hai ki baaton mein ada ho
KHanjar ki zarurat hai na shamshir ki hajat
tirchhi si nazar ho koi banki si ada ho
KHali to na jaen dam-e-ruKHsat mere nale
fitna koi uTThe jo qayamat na bapa ho
chori ki to kuchh baat nahin mujh ko bata do
mera dil-e-betab agar tum ne liya ho
un se dam-e-raftar ye kahti hai qayamat
fitne se na KHali koi naqsh-e-kaf-e-pa ho
bad-zan hain wo is tarah ki surma use samjhen
bimar ki aankhon mein agar nil Dhala ho
KHat khol ke paDhte hue Darta hun kisi ka
lipTi hui KHat mein na kahin meri qaza ho
marna hai usi ka jo tujhe dekh ke mar jae
jina hai usi ka jo mohabbat mein jiya ho
hai dil ki jagah sine mein kawish abhi baqi
paikan koi pahlu mein mere rah na gaya ho
mujh ko bhi kahin aur se aaya hai bulawa
achchha hai chalo aaj bhi wada na wafa ho
'beKHud' ka fasana to hai mashhur-e-zamana
ye zikr to shayad kabhi tum ne bhi suna ho
(929) Peoples Rate This