De Mohabbat To Mohabbat Mein Asar Paida Kar
de mohabbat to mohabbat mein asar paida kar
jo idhar dil mein hai ya rab wo udhar paida kar
dud-e-dil ishq mein itna to asar paida kar
sar kaTe shama ki manind to sar paida kar
phir hamara dil-e-gum-gashta bhi mil jaega
pahle tu apna dahan apni kamar paida kar
kaam lene hain mohabbat mein bahut se ya rab
aur dil de hamein ek aur jigar paida kar
tham zara ai adam-abaad ke jaane wale
rah ke duniya mein abhi zad-e-safar paida kar
jhuT jab bolte hain wo to dua hoti hai
ya ilahi meri baaton mein asar paida kar
aaina dekhna is husn pe aasan nahin
pesh-tar aankh meri meri nazar paida kar
subh-e-furqat to qayamat ki sahar hai ya rab
apne bandon ke liye aur sahar paida kar
mujh ko rota hua dekhen to jhulas jaen raqib
aag pani mein bhi ai soz-e-jigar paida kar
miT ke bhi duri-e-gulshan nahin bhati ya rab
apni qudrat se meri KHak mein par paida kar
shikwa-e-dard-e-judai pe wo farmate hain
ranj sahne ko hamara sa jigar paida kar
din nikalne ko hai rahat se guzar jaane de
ruTh kar tu na qayamat ki sahar paida kar
hum ne dekha hai ki mil jate hain laDne wale
sulh ki KHu bhi to ai bani-e-shar paida kar
mujh se ghar aane ke wade par bigaD kar bole
kah diya ghair ke dil mein abhi ghar paida kar
mujh se kahti hai kaDak kar ye kaman qatil ki
tir ban jae nishana wo jigar paida kar
kya qayamat mein bhi parda na uThega ruKH se
ab to meri shab-e-yalda ki sahar paida kar
dekhna khel nahin jalwa-e-didar tera
pahle musa sa koi ahl-e-nazar paida kar
dil mein bhi milta hai wo kaba bhi us ka hai maqam
rah nazdik ki ai azm-e-safar paida kar
zof ka hukm ye hai honT na hilne paen
dil ye kahta hai ki nale mein asar paida kar
nale 'beKHud' ke qayamat hain tujhe yaad rahe
zulm karna hai to patthar ka jigar paida kar
(1020) Peoples Rate This