Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d02c74ebedb2609d602e70c4d25c1978, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bani Thi Dil Pe Kuchh Aisi Ki Iztirab Na Tha - Bekhud Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Bani Thi Dil Pe Kuchh Aisi Ki Iztirab Na Tha

bani thi dil pe kuchh aisi ki iztirab na tha

ghashi ko aap ne samjha tha KHwab KHwab na tha

ye husn-e-zan hai ki 'beKHud' kabhi KHarab na tha

kasar thi itni ki aaluda-e-sharab na tha

hamari aankh se tum dekhte to khul jata

ki aaine mein bhi is shakl ka jawab na tha

hazaron is dil-e-be-arzu ne Dhae sitam

bhale ko aur mere sath kuchh azab na tha

mujhe ye rashk ki dushman ka zikr kyun aae

unhen ye naz meri baat ka jawab na tha

ye but samajhte the 'beKHud' ko bar-e-KHatir kyun

kisi ke dil mein to wo KHanuman-KHarab na tha

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bani Thi Dil Pe Kuchh Aisi Ki Iztirab Na Tha In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Bani Thi Dil Pe Kuchh Aisi Ki Iztirab Na Tha is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Bani Thi Dil Pe Kuchh Aisi Ki Iztirab Na Tha for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Bani Thi Dil Pe Kuchh Aisi Ki Iztirab Na Tha in PDF.