Aashiq Samajh Rahe Hain Mujhe Dil Lagi Se Aap
aashiq samajh rahe hain mujhe dil lagi se aap
waqif nahin abhi mere dil ki lagi se aap
dil bhi kabhi mila ke mile hain kisi se aap
milne ko roz milte hain yun to sabhi se aap
sab ko jawab degi nazar hasb-e-muddaa
sun lije sab ki baat na kije kisi se aap
marna mera ilaj to be-shak hai soch lun
ye dosti se kahte hain ya dushmani se aap
hoga juda ye hath na gardan se wasl mein
Darta hun uD na jaen kahin nazuki se aap
zahid KHuda gawah hai hote falak par aaj
lete KHuda ka nam agar aashiqi se aap
ab ghurne se faeda bazm-e-raqib mein
dil par chhuri to pher chuke be-ruKHi se aap
dushman ka zikr kya hai jawab us ka dijiye
raste mein kal mile the kisi aadmi se aap
shohrat hai mujh se husn ki is ka mujhe hai rashk
hote hain mustafiz meri zindagi se aap
dil to nahin kisi ka tujhe toDte hain hum
pahle chaman mein puchh len itna kali se aap
main bewafa hun ghair nihayat wafa shiar
mera salam lije milen ab usi se aap
aadhi to intizar hi mein shab guzar gai
us par ye turra so bhi rahenge abhi se aap
badla ye rup aap ne kya bazm-e-ghair mein
ab tak meri nigah mein hain ajnabi se aap
parde mein dosti ke sitam kis qadar hue
main kya bataun puchhiye ye apne ji se aap
ai shaiKH aadmi ke bhi darje hain muKHtalif
insan hain zarur magar wajibi se aap
mujh se salah li na ijazat talab hui
be-wajh ruTh baiThe hain apni KHushi se aap
'beKHud' yahi to umr hai aish o nashat ki
dil mein na apne tauba ki Thanen abhi se aap
(811) Peoples Rate This