Aa Gae Phir Tere Arman MiTane Hum Ko
aa gae phir tere arman miTane hum ko
dil se pahle ye laga denge Thikane hum ko
sar uThane na diya hashr ke din bhi zalim
kuchh tere KHauf ne kuchh apni wafa ne hum ko
kuchh to hai zikr se dushman ke jo sharmate hain
wahm mein Dal diya un ki haya ne hum ko
zulm ka shauq bhi hai sharm bhi hai KHauf bhi hai
KHwab mein chhup ke wo aate hain satane hum ko
chaar daghon pe na ehsan jatao itna
kaun se baKHsh diye tum ne KHazane hum ko
baat karne ki kahan wasl mein fursat 'beKHud'
wo to dete hi nahin hosh mein aane hum ko
(883) Peoples Rate This