Shikwa Sun Kar Jo Mizaj-e-but-e-bad-KHu Badla

shikwa sun kar jo mizaj-e-but-e-bad-KHu badla

hum ne bhi sath hi taqrir ka pahlu badla

kahiye to kis ke phansane ki ye tadbiren hain

aaj kyun chin-ba-jabin se KHam-e-gesu badla

ek tera rabt ki do din kabhi yaksan na raha

ek mera haal ki hargiz na sar-e-mu badla

un hasinon hi ko zeba hai talawwun ai dil

han KHabar-dar jo bhule se kabhi tu badla

dil-e-muztar ki taDap se jo main taDpa 'beKHud'

chaara-gar KHush hain ki bimar ne pahlu badla

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikwa Sun Kar Jo Mizaj-e-but-e-bad-KHu Badla In English By Famous Poet Bekhud Badayuni. Shikwa Sun Kar Jo Mizaj-e-but-e-bad-KHu Badla is written by Bekhud Badayuni. Read famous Poem Shikwa Sun Kar Jo Mizaj-e-but-e-bad-KHu Badla for youth and Student by Bekhud Badayuni. Free Download Shikwa Sun Kar Jo Mizaj-e-but-e-bad-KHu Badla in PDF.