Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d52e68af7423f223256139b9e69ff90f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hain Wasl Mein ShoKHi Se Paband-e-haya Aankhen - Bekhud Badayuni Poetry In English - Darsaal

Hain Wasl Mein ShoKHi Se Paband-e-haya Aankhen

hain wasl mein shoKHi se paband-e-haya aankhen

allah-re zalim ki mazlum-numa aankhen

aafat mein fansaengi diwana banaengi

wo ghaaliya-sa zulfen wo hosh-ruba aankhen

kya jaaniye kya karta kya dekhta kya kahta

zahid ko bhi meri si deta jo KHuda aankhen

rahm un ko na aaya tha to sharm hi aa jati

be-dad ke shikwe par jhuktin to zara aankhen

tum jaan ko kho baiTho ya aankhon ko ro baiTho

'beKHud' na milaenge wo tum se zara aankhen

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hain Wasl Mein ShoKHi Se Paband-e-haya Aankhen In English By Famous Poet Bekhud Badayuni. Hain Wasl Mein ShoKHi Se Paband-e-haya Aankhen is written by Bekhud Badayuni. Read famous Poem Hain Wasl Mein ShoKHi Se Paband-e-haya Aankhen for youth and Student by Bekhud Badayuni. Free Download Hain Wasl Mein ShoKHi Se Paband-e-haya Aankhen in PDF.