Udas Kaghzi Mausam Mein Rang O Bu Rakh De
udas kaghzi mausam mein rang o bu rakh de
har ek phul ke lab par mera lahu rakh de
zaban-e-gul se chaTanen tarashne wale
nigar o naqsh mein aasaish-e-numu rakh de
suna hai ahl-e-KHirad phir chaman sajaenge
junun bhi jeb o gareban pa-e-rafu rakh de
shafaq hai phul hai dipak hai chand bhi hai magar
unhin ke sath kahin saghar o subu rakh de
chala hai jaanib-e-mai-KHana aaj phir waiz
kahin na jam pe lab apne be-wazu rakh de
tamam shahr ko apni taraf jhuka lunga
gham-e-habib mere sar pe hath tu rakh de
giran lage hai jo ehsan dast-e-qatil ka
uTh aur tegh ke lab par rag-e-gulu rakh de
KHuda kare mera munsif saza sunane par
mera hi sar mere qatil ke ru-ba-ru rakh de
samundaron ne bulaya hai tujh ko ai 'bekal'
tu apni pyas ki sahra mein aabru rakh de
(967) Peoples Rate This