To Pahle Mera Hi Haal-e-tabah Likh Lije
to pahle mera hi haal-e-tabah likh lije
phir apne aap ko aalam panah likh lije
kitab-e-sahra mein zikr aae jab samundar ka
meri hayat kisi ki nigah likh lije
diyon ke qatl pe suraj ki har kiran chup hai
is ehtiyat ko jashn-e-siyah likh lije
labon pe amn ke naghme dilon mein jang ki aag
shikast-e-azm ba-nam-e-sipah likh lije
wo mere qatl ka mulzim hai log kahte hain
wo chhuT sake to mujhe bhi gawah likh lije
main apne ghar ki tabahi sambhaal lunga magar
zamane bhar ka mujhe sarbarah likh lije
KHataen itni hain 'bekal' mujhe nahin malum
yahi saza hai mera har gunah likh lije
(1263) Peoples Rate This