Nae Zamane Mein Ab Ye Kamal Hone Laga
nae zamane mein ab ye kamal hone laga
ki qatl kar ke bhi qatil nihaal hone laga
meri tabahi ka bais jo hai zamane se
usi ko ab mera kahe KHayal hone laga
hawa-e-ishq ne bhi gul khilae hain kya kya
jo mera haal tha wo tera haal hone laga
shab-e-firaq wo kaisa tha jashn yaadon ka
ki jis ka zikr bhi baad-e-visal hone laga
jo ranj-o-gham mein mere sath sath tha ab tak
use bhi meri KHushi se malal hone laga
jahan pe manzar-e-jalwa tha sirf wahm o guman
wahin pe jalsa-e-zohra-jamal hone laga
tumhaare qadr se agar baDh rahi ho parchhain
samajh lo dhup ka waqt-e-zawal hone laga
na KHud ko becha na koi KHushamaden ki hain
to kaise tum pe ye 'bekal' sawal hone laga
(1114) Peoples Rate This