Mujhko Shikastagi Ka Qalaq Der Tak Raha
mujh ko shikastagi ka qalaq der tak raha
kyun chehra phir janab ka faq der tak raha
yun to kai kitaben paDhin zehn mein magar
mahfuz ek sada waraq der tak raha
aksar shab-e-visal tere ruThne ke baad
ehsas par tilism-e-ramaq der tak raha
ab hai kitab-e-ishq mein jo sada o salis
pahle wo lafz lafz-e-adaq der tak raha
suraj ke sar ko sham ke neze pe dekh kar
dast-e-zamin pe rang-e-shafaq der tak raha
us ka jawab ek hi lamhe mein KHatm tha
phir bhi mere sawal ka haq der tak raha
'bekal' jise bhula ke zamana hai mutmain
tujh ko hi yaad wo bhi sabaq der tak raha
(789) Peoples Rate This