Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_11e915518f2bede36b279cedd1ad3289, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Kucha-e-qatil Mein Hum Lae Gae Honge - Bekal Utsahi Poetry In English - Darsaal

Jab Kucha-e-qatil Mein Hum Lae Gae Honge

jab kucha-e-qatil mein hum lae gae honge

parde bhi darichon ke sarkae gae honge

mai-KHane mein jab zahid pahunchae gae honge

KHatir ke saliqe sab apnae gae honge

jab satwat-e-shahi ko kuchh Thes lagi hogi

suli pe kai sarmad laTkae gae honge

chandi ke gharondon ki jab baat chali hogi

miTTi ke khilaunon se bahlae gae honge

jab shish-mahal koi tamir hua hoga

diwaron mein diwane chunwae gae honge

wo kuchh bhi kahen lekin tanhai ke aalam mein

kuchh git tere 'bekal' dohrae gae honge

(1168) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Kucha-e-qatil Mein Hum Lae Gae Honge In English By Famous Poet Bekal Utsahi. Jab Kucha-e-qatil Mein Hum Lae Gae Honge is written by Bekal Utsahi. Read famous Poem Jab Kucha-e-qatil Mein Hum Lae Gae Honge for youth and Student by Bekal Utsahi. Free Download Jab Kucha-e-qatil Mein Hum Lae Gae Honge in PDF.