Hum ChaTanon Ki Tarah Sahil Pe Dhaale Jaenge
hum chaTanon ki tarah sahil pe Dhaale jaenge
phir hamein sailab ke dhaare baha le jaenge
aisi rut aai andhere ban gae mimbar ke but
gumbad-o-mehrab kya jugnu bacha le jaenge
pahle sab tamir karwaenge kaghaz ke makan
phir hawa ke ruKH pe angare uchhaale jaenge
hum wafadaron mein hain us ke magar mashkuk hain
ek na ek din us ki mahfil se nikale jaenge
jang mein le jaenge sarhad pe sab tir-o-tafang
hum to apne sath miTTi ki dua le jaenge
shahr ko tahzib ke jhonkon ne nanga kar diya
ganw ke sar ka dupaTTa bhi uDa le jaenge
dastan-e-ishq ko 'bekal' na de giton ka rup
dost hain bebak sab lahje chura le jaenge
(835) Peoples Rate This