Fasl-e-gul Kab LuTi Nahin Malum

fasl-e-gul kab luTi nahin malum

kab bahaar aai thi nahin malum

hum bhaTakte rahe andhere mein

raushni kab hui nahin malum

kab wo guzre qarib se dil ke

nind kab aa gai nahin malum

dard jab jab uTha hua mahsus

choT kab kab lagi nahin malum

bebasi jis ki zist ho us ko

zist ki bebasi nahin malum

naz sajdon pe hai hamein lekin

nazish-e-bandagi nahin malum

apni haalat pe tere wahshi ko

kyun hansi aa gai nahin malum

hosh aaya to mai-kada na raha

hae kis waqt pi nahin malum

meri jaanib wo dekh kar bole

hai koi ajnabi nahin malum

daur-e-hazir ki bazm mein 'bekal'

kaun hai aadmi nahin malum

(993) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasl-e-gul Kab LuTi Nahin Malum In English By Famous Poet Bekal Utsahi. Fasl-e-gul Kab LuTi Nahin Malum is written by Bekal Utsahi. Read famous Poem Fasl-e-gul Kab LuTi Nahin Malum for youth and Student by Bekal Utsahi. Free Download Fasl-e-gul Kab LuTi Nahin Malum in PDF.