Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9b793d67c331e39e8f15f90446fce116, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dimagh Arsh Pe Hai KHud Zamin Pe Chalte Hain - Bekal Utsahi Poetry In English - Darsaal

Dimagh Arsh Pe Hai KHud Zamin Pe Chalte Hain

dimagh arsh pe hai KHud zamin pe chalte hain

safar guman ka hai aur yaqin pe chalte hain

hamare qafila-salaron ke irade kya

chale to han pe hain lekin nahin pe chalte hain

na jaane kaun sa nashsha hai un pe chhaya hua

qadam kahin pe hain paDte kahin pe chalte hain

bana ke un ko agar chhoD do to gir jaen

makan nae ki purane makin pe chalte hain

jahan tumhaara hai tum ko kisi ka Dar kya hai

tamam tir jahan ke hamin pe chalte hain

(1052) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dimagh Arsh Pe Hai KHud Zamin Pe Chalte Hain In English By Famous Poet Bekal Utsahi. Dimagh Arsh Pe Hai KHud Zamin Pe Chalte Hain is written by Bekal Utsahi. Read famous Poem Dimagh Arsh Pe Hai KHud Zamin Pe Chalte Hain for youth and Student by Bekal Utsahi. Free Download Dimagh Arsh Pe Hai KHud Zamin Pe Chalte Hain in PDF.