Bhitar Basne Wala KHud Bahar Ki Sair Kare Maula KHair Kare
bhitar basne wala KHud bahar ki sair kare maula KHair kare
ek murat ko chahe phir kabe ko dair kare maula KHair kare
ishq-wishiq ye chahat-wahat man ka bhulawa phir man bhi apna kya
yar ye kaisa rishta jo apnon ko ghair kare maula KHair kare
ret ka tuda aandhi ki faujon par tir chalae Tahni peD chabae
chhoTi machhli dariya mein ghaDiyal se bair kare maula KHair kare
soch ki kafir har murat pe jaan chhiDakta hai bin panw thirakta hai
man ka musalman ab qible ki jaanib pair kare maula KHair kare
fikr ki chaak pe maTi ki tu shakl badalta hai ya KHud hi Dhalta hai
'bekal' be-par lafzon ki taKHil ko tair kare maula KHair kare
(887) Peoples Rate This