Tujh Par Meri Mohabbat Qurban Ho Na Jae
tujh par meri mohabbat qurban ho na jae
ye kufr baDhte baDhte iman ho na jae
allah ri be-naqabi us jaan-e-muddaa ki
meri nigah-e-hasrat hairan ho na jae
meri taraf na dekho apni nazar ko roko
duniya-e-ashiqi mein haijaan ho na jae
palkon pe ruk gaya hai aa kar jo ek aansu
ye qatra baDhte baDhte tufan ho na jae
hadd-e-sitam to hai bhi hadd-e-wafa nahin hai
zalim tera sitam bhi ehsan ho na jae
hoti nahin hai waqat hoti nahin hai izzat
jab tak ki koi insan insan ho na jae
us waqt tak mukammal hota nahin hai koi
jab tak ki KHud ko apni pahchan ho na jae
'bahzad' is liye main kahta nahin hun dil ki
Darta hun sun ke duniya hairan ho na jae
(2068) Peoples Rate This