Tere Ishq Mein Zindagani LuTa Di
tere ishq mein zindagani luTa di
ajab khel khela jawani luTa di
nahin dil mein dagh-e-tamanna bhi baqi
unhin par se un ki nishani luTa di
kuchh is tarah zalim ne dekha ki hum ne
na socha na samjha jawani luTa di
tumhaare hi karan tumhaari badaulat
tumhaari qasam zindagani luTa di
adaon ko dekha nigahon ko dekha
hazaron tarah se jawani luTa di
ghazab to ye hai hum ne mahfil ki mahfil
suna kar wafa ki kahani luTa di
jahan koi dekha hasin jalwa-ara
wahin hum ne apni jawani luTa di
nigahon se saqi ne sahba-e-ulfat
sitam ye hai ta-dur-e-sani luTa di
jawani ke jazbon se allah samjhe
jawani jo dekhi jawani luTa di
bujhai hai pyas aaj daman ki hum ne
sharab-e-nazar kar ke pani luTa di
tumhin par se 'bahzad' ne be-KHudi mein
kya dil tasadduq jawani luTa di
(1817) Peoples Rate This