Masrur Bhi Hun KHush Bhi Hun Lekin KHushi Nahin
masrur bhi hun KHush bhi hun lekin KHushi nahin
tere baghair zist to hai zindagi nahin
main dard-e-ashiqi ko samajhta hun jaan-o-ruh
kambaKHt wo bhi dil mein kabhi hai kabhi nahin
la gham hi Dal de mere dast-e-sawal mein
main kya karun KHushi ko jo teri KHushi nahin
kuchh der aur rahne de KHuddari-e-junun
daman to chaak hona hai lekin abhi nahin
saqi nigah-e-naz se lillah kaam le
sau jam pi chuka hun magar be-KHudi nahin
rakhna paDegi tum ko tahi-damani ki laj
mujh ko kami zarur hai tum ko kami nahin
'bahzad' saf saf main kahta hun haal-e-dil
sharminda-e-kamal meri shairi nahin
(1510) Peoples Rate This