KHushi Mahsus Karta Hun Na Gham Mahsus Karta Hun
KHushi mahsus karta hun na gham mahsus karta hun
magar han dil mein kuchh kuchh zer-o-bam mahsus karta hun
mohabbat ki ye nairangi bhi duniya se nirali hai
alam koi nahin lekin alam mahsus karta hun
meri nazron mein ab baqi nahin hai zauq-e-kufr-o-din
main ek markaz pe ab dair-o-haram mahsus karta hun
jo lutf-e-zindagani mil raha tha ghaTta jata hai
KHalish jo dil mein rahti thi wo kam mahsus karta hun
tumhaare zikr par kab munhasir hai dil ki betabi
kisi ka zikr ho main chashm-e-nam mahsus karta hun
kabhi pata hun dil mein ek hashr-e-dard-e-betabi
kabhi main apne dil mein dard-o-gham mahsus karta hun
zaban par meri shikwa aa nahin sakta zamane ka
ki har aalam ko main un ka karam mahsus karta hun
ye dil mein hai jo ghabrahaT ye aankhon mein hai jo aansu
is ehsan ko bhi baala-e-karam mahsus karta hun
KHushi ki mujh ko ab bahzad kuchh hajat nahin baqi
ki gham ko bhi main ab un ka karam mahsus karta hun
(1131) Peoples Rate This