Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_hckd1dlovn8fqpvaudnqlntn50, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHuda Ko DhunD Raha Tha Kahin KHuda Na Mila - Behzad Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

KHuda Ko DhunD Raha Tha Kahin KHuda Na Mila

KHuda ko DhunD raha tha kahin KHuda na mila

zahe-nasib ki bande ko muddaa na mila

nigah-e-shauq mein be-nuriyon ka rang baDha

nigah-e-shauq ko jab koi dusra na mila

hum apni be-KHudi-e-shauq par nisar rahe

KHudi ko DhunDh liya jab hamein KHuda na mila

tumhaari bazm mein lab khol kar hua KHamosh

wo bad-nasib jise koi aasra na mila

har ek zarre mein main KHud to aa raha tha nazar

ajib baat tumhaara kahin pata na mila

bas ek sukun hi hum ko na mil saka ta-umr

wagarna tere tasadduq mein hum ko kya na mila

teri nigah-e-mohabbat-nawaz hi ki qasam

ki aaj tak to hamein tujh sa dusra na mila

tera jamal fazaon mein muntashir tha magar

nigah-e-shauq ko phir bhi tera pata na mila

hazar Thokaren khain hazar su 'bahzad'

jahan-e-husn mein koi bhi ba-wafa na mila

(1394) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda Ko DhunD Raha Tha Kahin KHuda Na Mila In English By Famous Poet Behzad Lakhnavi. KHuda Ko DhunD Raha Tha Kahin KHuda Na Mila is written by Behzad Lakhnavi. Read famous Poem KHuda Ko DhunD Raha Tha Kahin KHuda Na Mila for youth and Student by Behzad Lakhnavi. Free Download KHuda Ko DhunD Raha Tha Kahin KHuda Na Mila in PDF.