Hona Hi Kya Zarur The Ye Do-jahan Hain Kyun
hona hi kya zarur the ye do-jahan hain kyun
allah ek fareb mein kaun-o-makan hain kyun
sunte hain ek dard to uThta hai bar-bar
us ki KHabar nahin hai ki aansu rawan hain kyun
in be-niyaziyon mein bhi shan-e-niyaz hai
sajde nahin pasand to phir aastan hain kyun
jis gulistan mein roz taDapti hain bijliyan
yarab usi chaman mein ye phir aashiyan hain kyun
is ka hamein malal hai hum kyun badal gae
is ka nahin malal ki wo bad-guman hain kyun
jab dil nahin raha to tamanna ka kaam kya
jab karwan nahin to pas-e-karwan hain kyun
'bahzad' un ke hijr mein ghabra raha hai dil
ab kya kahen kisi se ki bas KHanuman hain kyun
(898) Peoples Rate This