Hai KHirad-mandi Yahi Ba-hosh Diwana Rahe
hai KHirad-mandi yahi ba-hosh diwana rahe
hai wahi apna ki jo apne se begana rahe
kufr se ye iltijaen kar raha hun bar bar
jaun to kaba magar ruKH su-e-mai-KHana rahe
sham-e-sozan kuchh KHabar bhi hai tujhe o mast-e-gham
husn-e-mahfil hai jabhi jab tak ki parwana rahe
zaKHm-e-dil ai zaKHm-e-dil nasur kyun banta nahin
lutf to jab hai ki afsane mein afsana rahe
hum ko waiz ka bhi dil rakhna hai saqi ka bhi dil
hum to tauba kar ke bhi paband-e-maiKHana rahe
aaKHirash kab tak rahengi husn ki nadaniyan
husn se puchho ki kab tak ishq diwana rahe
faiz-e-rah-e-ishq hai ya faiz-e-jazb-e-ishq hai
hum to manzil pa ke bhi manzil se begana rahe
mai-kade mein hum duaen kar rahe hain bar bar
is taraf bhi chashm-e-mast-e-pir-e-mai-KHana rahe
aaj to saqi se ye 'bahzad' ne bandha hai ahd
lab pe tauba ho magar hathon mein paimana rahe
(1138) Peoples Rate This