Fariyaad Hai Ab Lab Par Jab Ashk-fishani Thi
fariyaad hai ab lab par jab ashk-fishani thi
ye aur kahani hai wo aur kahani thi
ab dil mein raha kya hai juz hasrat-o-nakaami
wo nish kahan baqi KHud jis ki nishani thi
jab dard sa tha dil mein ab dard hi KHud dil hai
han ab jo haqiqat hai pahle ye kahani thi
pur-ab si rahti thin pahle ye meri aankhen
han han isi dariya mein ashkon ki rawani thi
ai chashm haqiqat mein duniya ko ye samjha de
baqi bhi wahi nikli jo chiz ki fani thi
bulbul ne to afsana apna hi sunaya tha
gulshan ki kahani to phulon ki zabani thi
yun ashk bahae the yun kin na thin fariyaaden
ek baat chhupani thi ek baat batani thi
sada nazar aata hai ab to waraq-e-daman
ab tak mere daman par aankhon ki nishani thi
'bahzad' ka wo aalam bhi KHub hi aalam tha
'bahzad' ki nazron mein har chiz jawani thi
(948) Peoples Rate This