Ek Bewafa Ko Dard Ka Darman Bana Liya
ek bewafa ko dard ka darman bana liya
hum ne to aah kufr ko iman bana liya
dil ki KHalish-pasandiyan hain ki allah ki panah
tir-e-nazar ko jaan-e-rag-e-jaan bana liya
mujh ko KHabar nahin mere dil ko KHabar nahin
kis ki nazar ne banda-e-ehsan bana liya
mahsus kar ke hum ne mohabbat ka har alam
KHwab-e-subuk ko KHwab-e-pareshan bana liya
dast-e-junun ki uqda-kushai to dekhiye
daman ko be-niyaz gareban bana liya
taskin-e-dil ki hum ne bhi parwah chhoD di
har mauj-e-gham ko hasil-e-tufan bana liya
jab un ka nam aa gaya hum muztarib hue
aahon ko apni zist ka unwan bana liya
hum ne to apne dil mein wo gham ho ki ho alam
jo koi aa gaya use mehman bana liya
aaina dekhne ki zarurat na thi koi
apne ko KHud hi aap ne hairan bana liya
ek be-wafa pe kar ke tasadduq dil-o-jigar
'bahzad' hum ne KHud ko pareshan bana liya
(1160) Peoples Rate This