Dil Mera Tera Taba-e-farman Hai Kya Karun
dil mera tera taba-e-farman hai kya karun
ab tera kufr hi mera iman hai kya karun
ba-hosh hun magar mera daman hai chaak chaak
aalam ye dekh dekh ke hairan hai kya karun
har tarah ka sukun hai har tarah ka hai kaif
phir bhi ye mera qalb pareshan hai kya karun
kahta nahin hun aur zamana hai ba-KHabar
chehre se dil ka haal numayan hai kya karun
daman karun na chaak ye mumkin to hai magar
muztar har ek tar-e-gareban hai kya karun
sada sa ek waraq hun kitab-e-hayat ka
hasrat se ab na ab koi arman hai kya karun
har samt pa raha hun wahi rang-e-dil-fareb
hathon mein kufr ke mera iman hai kya karun
daghon ka qalb-e-zar se mumkin to hai ilaj
un ke hi dam se dil mein charaghan hai kya karun
ek be-wafa ke waste se sab kuchh luTa diya
'bahzad' ab na din na iman hai kya karun
(963) Peoples Rate This