Chashm-e-hasin Mein Hai Na RuKH-e-fitna-gar Mein Hai
chashm-e-hasin mein hai na ruKH-e-fitna-gar mein hai
duniya ka har fareb fareb-e-nazar mein hai
ab kya KHabar ki dil mein hai kya kya jigar mein hai
ab to teri nazar ka tamasha nazar mein hai
iman rakh ke kya karun farsuda chiz hai
masti mujhe qubul ki teri nazar mein hai
nasur dard-e-zaKHm tapish soz-o-iztirab
saman sau tarah ka dil-e-muKHtasar mein hai
hazir hai us ke waste jis ko ho aarzu
han ek lahu ki bund meri chashm-e-tar mein hai
qismat se mil gai hai ye bedari-e-hayat
is ishq ke nisar ki duniya nazar mein hai
mujh ko na din ko chain na shab ko sukun nasib
ek rabt-e-daimi meri sham-o-sahar mein hai
hairat se dekhiye na mere sajda-ha-e-shauq
ye aastan kuchh aur hi meri nazar mein hai
baqi hain baad-e-tauba bhi rindi ke walwale
dil mein KHayal-e-baada hai saghar nazar mein hai
achchhi mili hai mujh ko ye diwangi-e-shauq
duniya ka har KHayal dil-e-be-KHabar mein hai
do qatra-ha-e-KHun sar-e-mizhgan hain muntazir
'bahzad' do-jahan ka tamasha nazar mein hai
(1430) Peoples Rate This