Ai Jazba-e-dil Gar Main Chahun Har Chiz Muqabil Aa Jae
ai jazba-e-dil gar main chahun har chiz muqabil aa jae
manzil ke liye do gam chalun aur samne manzil aa jae
ai dil ki KHalish chal yunhi sahi chalta to hun un ki mahfil mein
us waqt mujhe chaunka dena jab rang pe mahfil aa jae
ai rahbar-e-kaamil chalne ko tayyar to hun par yaad rahe
us waqt mujhe bhaTka dena jab samne manzil aa jae
han yaad mujhe tum kar lena aawaz mujhe tum de lena
is rah-e-mohabbat mein koi darpesh jo mushkil aa jae
ab kyun DhunDun wo chashm-e-karam hone de sitam baala-e-sitam
main chahta hun ai jazba-e-gham mushkil pas-e-mushkil aa jae
is jazba-e-dil ke bare mein ek mashwara tum se leta hun
us waqt mujhe kya lazim hai jab tujh pe mera dil aa jae
ai barq-e-tajalli kaundh zara kya tu ne mujh ko bhi musa samjha hai
main tur nahin jo jal jaun jo chahe muqabil aa jae
aata hai jo tufan aane do kashti ka KHuda KHud hafiz hai
mumkin to nahin in maujon mein bahta hua sahil aa jae
(7016) Peoples Rate This