Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3bf1786c297480526514f308139b22e6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Jo Chehron Pe Liye Gard-e-alam Aate Hain - Bedil Haidri Poetry In English - Darsaal

Ye Jo Chehron Pe Liye Gard-e-alam Aate Hain

ye jo chehron pe liye gard-e-alam aate hain

ye tumhaare hi pasheman-e-karam aate hain

itna khul kar bhi na ro jism ki basti ko bacha

barishen kam hun to sailab bhi kam aate hain

tu suna teri masafat ki kahani kya hai

mere raste mein to har gam pe KHam aate hain

KHol chehron pe chaDhane nahin aate hum ko

ganw ke log hain hum shahr mein kam aate hain

wo to 'bedil' koi sukha hua patta hoga

tere aangan mein kahan un ke qadam aate hain

(1039) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jo Chehron Pe Liye Gard-e-alam Aate Hain In English By Famous Poet Bedil Haidri. Ye Jo Chehron Pe Liye Gard-e-alam Aate Hain is written by Bedil Haidri. Read famous Poem Ye Jo Chehron Pe Liye Gard-e-alam Aate Hain for youth and Student by Bedil Haidri. Free Download Ye Jo Chehron Pe Liye Gard-e-alam Aate Hain in PDF.