Rahne De Ratjagon Mein Pareshan Mazid Use
rahne de ratjagon mein pareshan mazid use
lagne de ek aur bhi zarb-e-shadid use
ji han wo ek charagh jo suraj tha raat ka
tarikiyon ne mil ke kiya hai shahid use
faqe na ghuggiyon se saDak par nikal paDen
aafat mein Dal de na ye bohran-e-id use
fart-e-KHushi se wo kahin aankhen na phoD le
aaram se sunao sahar ki nawid use
har-chand apne qatl mein shamil wo KHud bhi tha
phir bhi gawah mil na sake chashm-did use
bazar agar hai garm to kartab koi dikha
sab gahakon se aankh bacha kar KHarid use
muddat se pi nahin hai to phir faeda uTha
wo chal ke aa gaya hai to kar le kashid use
mashkuk agar hai KHat ki likhai to kya hua
jali bana ke bhej de tu bhi rasid use
(900) Peoples Rate This