Dariya Ne Kal Jo Chup Ka Libaada Pahan Liya
dariya ne kal jo chup ka libaada pahan liya
pyason ne apne jism pe sahra pahan liya
wo TaT ki qaba thi ki kaghaz ka pairahan
jaisa bhi mil gaya hamein waisa pahan liya
faqon se tang aae to poshak bech di
uryan hue to shab ka andhera pahan liya
garmi lagi to KHud se alag ho ke so gae
sardi lagi to KHud ko dobara pahan liya
bhaunchaal mein kafan ki zarurat nahin paDi
har lash ne makan ka malba pahan liya
'be-dil' libas-e-zist baDa dida-zeb tha
aur hum ne is libas ko ulTa pahan liya
(1950) Peoples Rate This