Kiran Mein Phir Se Badalne Laga KHayal Us Ka

kiran mein phir se badalne laga KHayal us ka

utar raha hai nae chand par jamal us ka

gaya hai shaKH se wo is liye ki shaKH rahe

hua to bij ki surat hua zawal us ka

jiyunga main bhi hamesha ki jawedan hai wo

main ji raha hun ki ye sal bhi hai sal us ka

wo le gaya hai meri aankh apni basti mein

ki mere sath rahe rabta bahaal us ka

main sirf pani ki chhagal sahi magar 'bedar'

hua gulab mere dam se baal baal us ka

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kiran Mein Phir Se Badalne Laga KHayal Us Ka In English By Famous Poet Bedar Sarmadi. Kiran Mein Phir Se Badalne Laga KHayal Us Ka is written by Bedar Sarmadi. Read famous Poem Kiran Mein Phir Se Badalne Laga KHayal Us Ka for youth and Student by Bedar Sarmadi. Free Download Kiran Mein Phir Se Badalne Laga KHayal Us Ka in PDF.