Ye Saqi Ki Karamat Hai Ki Faiz-e-mai-parasti Hai
ye saqi ki karamat hai ki faiz-e-mai-parasti hai
ghaTa ke bhes mein mai-KHane par rahmat barasti hai
ye jo kuchh dekhte hain hum fareb-e-KHwab-e-hasti hai
taKHayyul ke karishme hain bulandi hai na pasti hai
wahan hain hum jahan 'bedam' na virana na basti hai
na pabandi na aazadi na hushyari na masti hai
teri nazron pe chaDhna aur tere dil se utar jaana
mohabbat mein bulandi jis ko kahte hain wo pasti hai
wahi hum the kabhi jo raat din phulon mein tulte the
wahi hum hain ki turbat chaar phulon ko tarasti hai
karishme hain ki naqqash-e-azal nairangiyan teri
jahan mein mail-e-rang-e-fana har naqsh-e-hasti hai
ise bhi nawak-e-jaanan tu apne sath leta ja
ki meri aarzu dil se nikalne ko tarasti hai
har ek zarre mein hai inni-anallah ki sada saqi
ajab mai-kash the jin ki KHak mein bhi josh-e-masti hai
KHuda rakkhe dil-e-pur-soz teri shola-afshani
ki tu wo shama hai jo raunaq-e-darbar-e-hasti hai
mere dil ke siwa tu ne bhi dekhi bekasi meri
ki aabaadi na ho jis mein koi aisi bhi basti hai
hijabaat-e-tayyun mane-e-didar samjha tha
jo dekha to naqab-e-ru-e-jaanan meri hasti hai
ajab duniya-e-hairat aalam-e-gor-e-ghariban hai
ki virane ka virana hai aur basti ki basti hai
kahin hai abd ki dhun aur kahin shor-e-anal-haq hai
kahin iKHfa-e-masti hai kahin izhaar-e-masti hai
banaya rashk-e-mahr-o-mah teri zarra-nawazi ne
nahin to kya hai 'bedam' aur kya 'bedam' ki hasti hai
(1762) Peoples Rate This