Sine Mein Dil Hai Dil Mein Dagh Dagh Mein Soz-o-saz-e-ishq
sine mein dil hai dil mein dagh dagh mein soz-o-saz-e-ishq
parda-ba-parda hai nihan parda-nashin ka raaz-e-ishq
naz kabhi niyaz hai aur niyaz naz-e-ishq
KHatm hua na ho kabhi silsila-e-daraaz-e-ishq
ishq ada-nawaz-e-husn husn karishma-saz-e-ishq
aaj se kya azal se hai husn se saz-baz-e-ishq
apni KHabar kahan unhen jin pe khula hai raaz-e-ishq
sare shuur miT gae jab hua imtiyaz-e-ishq
hosh-o-KHirad bhi al-firaq baini-wa-bainaka kahen
hazrat-e-dil ka KHair se hai safar-e-hijaz-e-ishq
pir-e-mughan ke pa-e-naz aur mera sar-e-niyaz
hoti hai mai-kade mein roz apni yunhi namaz-e-ishq
hasrat-o-yas-o-arzu shauq ka iqtida karen
kushta-e-gham ki lash par dhum se ho namaz-e-ishq
ishq ki zat hi se hai KHubi-e-husn-o-shan-e-husn
husn ke dam-qadam se hai sara ye soz-o-saz-e-ishq
ai dil-e-dardmand phir nala ho koi dil-gudaz
suni paDi hai bazm-e-shauq chheD de apna saz-e-ishq
hosh-o-KHirad adu-e-ishq ishq hai dushman-e-KHirad
hai na hua na ho kabhi aql se saz-baz-e-ishq
'bedam'-e-KHasta hai kahan asl mein koi aur hai
zamzama-sanj be-KHudi naghma-taraaz saz-e-ishq
(1960) Peoples Rate This