Sahaara Maujon Ka Le Le Ke BaDh Raha Hun Main
sahaara maujon ka le le ke baDh raha hun main
safina jis ka hai tufan wo naKHuda hun main
KHud apne jalwa-e-hasti ka mubtala hun main
na muddai hun kisi ka na muddaa hun main
kuchh aage aalam-e-hasti se gunjta hun main
ki dil se TuTe hue saz ki sada hun main
paDa hua hun jahan jis tarah paDa hun main
jo tere dar se na uTThe wo naqsh-e-pa hun main
jahan-e-ishq mein go paikar-e-wafa hun main
teri nigah mein jab kuchh nahin to kya hun main
tajalliyat ki taswir khinch kar dil mein
tasawwuraat ki duniya basa raha hun main
junun-e-ishq ki nairangiyan are tauba
kabhi KHuda hun kabhi banda-e-KHuda hun main
badalti rahti hai duniya mere KHayalon ki
kabhi mila hun kabhi yar se juda hun main
hayat o maut ke jalwe hain meri hasti mein
taghayyuraat-e-do-alam ka aaina hun main
teri ata ke tasadduq tere karam ke nisar
ki ab to apni nazar mein bhi dusra hun main
baqa ki fikr na andesha-e-fana mujh ko
tayyunat ki had se guzar gaya hun main
mujhi ko dekh len ab tere dekhne wale
tu aaina hai mera tera aaina hun main
main miT gaya hun to phir kis ka nam hai 'bedam'
wo mil gae hain to phir kis ko DhunDhta hun main
(1416) Peoples Rate This