Qafas Ki Tiliyon Se Le Ke ShaKH-e-ashiyan Tak Hai
qafas ki tiliyon se le ke shaKH-e-ashiyan tak hai
meri duniya yahan se hai meri duniya wahan tak hai
zamin se aasman tak aasman se la-makan tak hai
KHuda jaane hamare ishq ki duniya kahan tak hai
KHuda jaane kahan se jalwa-e-jaanan kahan tak hai
wahin tak dekh sakta hai nazar jis ki jahan tak hai
koi mar kar to dekhe imtihan-gah-e-mohabbat mein
ki zer-e-KHanjar-e-qatil hayat-e-jawedan tak hai
niyaz-o-naz ki rudad-e-husn-o-ishq ka qissa
ye jo kuchh bhi hai sab un ki hamari dastan tak hai
qafas mein bhi wahi KHwab-e-pareshan dekhta hun main
ki jaise bijliyon ki rau falak se aashiyan tak hai
KHayal-e-yar ne to aate hi gum kar diya mujh ko
yahi hai ibtida to intiha us ki kahan tak hai
jawani aur phir un ki jawani ai maaz-allah
mera dil kya tah-o-baala nizam-e-do-jahan tak hai
hum itna bhi na samjhe aql khoi dil ganwa baiThe
ki husn-o-ishq ki duniya kahan se hai kahan tak hai
wo sar aur ghair ke dar par jhuke tauba maaz-allah
ki jis sar ki rasai tere sang-e-astan tak hai
ye kis ki lash be-gor-o-kafan pamal hoti hai
zamin jumbish mein hai barham nizam-e-asman tak hai
jidhar dekho udhar bikhre hain tinke aashiyane ke
meri barbaadiyon ka silsila ya-rab kahan tak hai
na meri saKHt-jaani phir na un ki tegh ka dam-KHam
main us ke imtihan tak hun wo mere imtihan tak hai
zamin se aasman tak ek sannaTe ka aalam hai
nahin malum mere dil ki virani kahan tak hai
sitamgar tujh se ummid-e-karam hogi jinhen hogi
hamein to dekhna ye tha ki tu zalim kahan tak hai
nahin ahl-e-zamin par munhasir matam shahidon ka
qaba-e-nil-gun pahne faza-e-asman tak hai
suna hai sufiyon se hum ne akasr KHanqahon mein
ki ye rangin-bayani 'bedam'-e-rangin-bayan tak hai
(1415) Peoples Rate This