Pas-e-adab Mujhe Unhen Sharm-o-haya Na Ho
pas-e-adab mujhe unhen sharm-o-haya na ho
nazzara-gah mein asar-e-ma-siwa na ho
mana meri qubul nahin hai dua na ho
itna hi ho ki us pe asar ghair ka na ho
kyun kar kahun ki pas unhen ghair ka na ho
jo ghusse mein bhi kahte hain tera bura na ho
is parde mein to kitne gireban chaak hain
wo be-hijab hon to KHuda jaane kya na ho
takiye mein kya rakha hai KHat-e-ghair ki tarah
dekhun to main nawishta-e-qismat mera na ho
mil kar gale wo karte hain KHanjar ki tarah kaT
is par bhi kah raha hun ki mujh se juda na ho
musa ka haal dekh ke dil kanpne laga
ab to dua hai un se mera samna na ho
wo bar bar mera lipaTna shab-e-visal
un ka jhijak ke kahna koi dekhta na ho
'bedam' ki zindagi hai isi chheD-chhaD mein
tark-e-wafa ki tarah se tark-e-jafa na ho
(1472) Peoples Rate This