Parde UThe Hue Bhi Hain Unki Idhar Nazar Bhi Hai
parde uThe hue bhi hain un ki idhar nazar bhi hai
baDh ke muqaddar aazma sar bhi hai sang-e-dar bhi hai
jal gai shaKH-e-ashiyan miT gaya tera gulsitan
bulbul-e-KHanuman-KHarab ab kahin tera ghar bhi hai
ab na wo sham sham hai apni na wo sahar sahar
hone ko yun to roz hi sham bhi hai sahar bhi hai
chahe jise banaiye apna nishana-e-nazar
zad pe tumhaare tir ke dil bhi hai aur jigar bhi hai
din ko usi se raushni shab ko usi se chandni
sach to ye hai ki ru-e-yar shams bhi hai qamar bhi hai
zulf-ba-dosh be-naqab ghar se nikal khaDe hue
ab to samajh gae huzur nalon mein kuchh asar bhi hai
'bedam'-e-KHasta ka mazar aap to chal ke dekhiye
shama bana hai dagh-e-dil bekasi nauhagar bhi hai
(1406) Peoples Rate This